main kisi shokh ki gali mein nahin zindagi meri zindagi mein nahin hum wafa ki umid kya rakkhen kis mein hogi jo aap hi mein nahin koi kaisa hai koi kaisa hai aadamiyyat har aadmi mein nahin tazkira hi wafa ka sunta hun ye kisi mein hai ya kisi mein nahin us ka milna hai apne khone par fil-haqiqat khuda khudi mein nahin kis se puchhun ki raat kya guzri ahl-e-bazm apne hosh hi mein nahin wo ghata aasman par utthi uzr ab mujh ko mai-kashi mein nahin guftugu un ki dosti mein hai shak hamein un ki dushmani mein nahin hai khudi aur be-khudi kuchh aur be-khudi ka maza khudi mein nahin koi chilman uthae baitha hai koi apne hawas hi mein nahin ghaur se dekhiye to sab kuchh hai kaun si baat aadmi mein nahin ye bhi ho wo bhi ho to lutf aae kuchh nahin lag agar lagi mein nahin kaun sa wasf kaun si khubi hazrat-e-'nuh-narwi' mein nahin