mubarak baada-KHwaron ko ki din sawan ke aate hain

mubarak baada-khwaron ko ki din sawan ke aate hain
hawa badli hai baadal rish-e-qazi ban ke aate hain

tumhaare tir rag rag mein rag-e-jaan ban ke aate hain
gale se sine mein sine se dil mein chhan ke aate hain

junun mein dil se main sadqe teri rozi-risani ke
ki mere samne tukde mere daman ke aate hain

bahut bikhri hui zulfen nazar aati hain rahon mein
bahut bikte hue phande meri gardan ke aate hain

teri hasrat jab aati hai musibat ho ke aati hai
tere arman jab aate hain dushman ban ke aate hain

ghazab hai muft dil lena aur us par yun ulajh padna
ki goya dam mujh par gesu-e-pur-fan ke aate hain

bahana kosne ka mil gaya hai fatiha kaisi
wo donon hath uthae samne madfan ke aate hain

ladakpan dekhna kahne lage dekha jo aaina
khilaune kitne ko is rang is roghan ke aate hain

bigadne ke liye zulfen hain lutne ke liye joban
mera matha thanakta hai wo jab ban than ke aate hain

dil-e-betab mera dusra mashuq hai goya
use andaz un ki chulbuli chitwan ke aate hain

tere paikan ghule jate hain mere shisha-e-dil mein
araq ho ho ke rahte hain pari ban ban ke aate hain

ye matlab hai ki ye taswir-e-kohna tum se behtar hai
ticket chaspan tumhaare nam khat dushman ke aate hain

ilahi un ka jalwa hai ki parda chashm-e-'rasikh' ka
chamak jati hai bijli pas jab chilman ke aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close