masjid ka hai KHayal KHarabaat ka KHayal

masjid ka hai khayal kharabaat ka khayal
wo rind hun ki hai mujhe auqat ka khayal

barsat mein hai tauba-o-taat ka khayal
tauba ke sath sath hai barsat ka khayal

shab ko wahi hai khwab-e-pareshan jo din mein tha
din ho gaya to mujh ko wahi raat ka khayal

aali-dimagh hun teri zulfen hain hath mein
sau hath ka kaleja hai so hat ka khayal

zahid rahen janab khayal-e-iram se khush
aaram mein hai qibla-e-hajat ka khayal

ai shokh chahta hai safai ye khatt-e-sabz
musa ko hai khizar ki mulaqat ka khayal

bose diye hain aap ne to le ke naqd-e-dil
sadqe ka dhyan tha mujhe khairaat ka khayal

umr-e-guzishta chahiye taat ke waste
hum kyon karen talafi-e-mafat ka khayal

tum khub jaante ho samajhte ho kya kahun
jis raat ka khayal hai jis baat ka khayal

jam-o-kabab-o-mai gul-o-gul-ru-o-mah-o-bagh
barsat mein zarur hai in sat ka khayal

palle mein bandh le dil-e-'rasikh' payambar
un ke liye hai gar tujhe saughat ka khayal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close