mudawa habs ka hone laga aahista aahista chali aati hai wo mauj-e-saba aahista aahista zara waqfa se niklega magar niklega chand aakhir ki suraj bhi to maghrib mein chhupa aahista aahista koi sunta to ek kohram barpa tha hawaon mein shajar se ek patta jab gira aahista aahista abhi se harf-e-rukhsat kyun jab aadhi raat baqi hai gul o shabnam to hote hain juda aahista aahista mujhe manzur gar tark-e-ta'alluq hai raza teri magar tutega rishta dard ka aahista aahista phir is ke baad shab hai jis ki had subh-e-abad tak hai mughanni sham ka naghma suna aahista aahista shab-e-furqat mein jab najm-e-sahar bhi dub jate hain utarta hai mere dil mein khuda aahista aahista main shahr-e-dil se nikla hun sab aawazon ko dafna kar 'nadim' ab kaun deta hai sada aahista aahista