muddaa-e-asar-e-ulfat-e-pinhan nikla

muddaa-e-asar-e-ulfat-e-pinhan nikla
le ke hamrah mera dil tera paikan nikla

aaj kis ne gham-e-duniya se rihai pai
kaun kuche se tere chaak-gareban nikla

uth gaya khair main arman liye duniya se
aap ke dil ka to arman meri jaan nikla

zabh kar ke mujhe kya jaaniye kya yaad aaya
qatl-gah se mera qatil bhi pasheman nikla

saf zahir hai jo hai khana-e-zanjir udas
mar ke zindan se koi be-sar-o-saman nikla

dafatan kar diye saffak ne lakhon tukde
dam bhi nikla mere dil ka to pareshan nikla

apne kuche mein jise tum ne kiya tha pamal
yahi wo dil tha na jis ka koi arman nikla

'nasiri' pai na fursat ki ghazal kahte khub
hausla kuchh na sar-e-bazm-e-sukhan-dan nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close