tujhko ye wahm hai ki wo teri nazar mein hain

tujh ko ye wahm hai ki wo teri nazar mein hain
tufan barq-o-baad parinde shajar mein hain

shayad kabhi hamari zarurat pade tujhe
ab tak isi khayal se hum rahguzar mein hain

sohbat bhi ahl-e-ilm ki karti hai sarbuland
hum be-hunar hain halqa-e-ahl-e-hunar mein hain

jhuk jae wo jabin to hamesha jhuki rahe
kuchh aisi lazzaten bhi mere sang-e-dar mein hain

shishe ke ghar bhi apni jagah khush-numa sahi
lekin jo rahaten mere mitti ke ghar mein hain

mahfil tamam jin ki nazar par hai multafit
'nasir' hamein hai fakhr ki un ki nazar mein hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close