muddaa koi apna na paya

muddaa koi apna na paya
jab dua ke liye hath uthaya

us mein apna hi sab aks paya
un ke chehre pe jo rang aaya

be-khudi par meri hansne walo
lo sambhaalo mujhe hosh aaya

wo zamin sajda-gah-e-wafa hai
pad gaya hai jahan apna saya

hum ne khaya fareb-e-mohabbat
chain kho kar hamein chain aaya

rahzan hi wo nikla bil-akhir
rahnuma jis ko apna banaya

tu ne uqba ko firdaus bakhshi
hum ne duniya ko jannat banaya

yaad un ki badhai shab-e-gham
aag ko aag hi se bujhaya

band aankhon ke the sab karishme
aankh kholi to kuchh bhi na paya

wo bhi hairan hum bhi pareshan
ishq 'basit' kise ras aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close