na furqat ne luta na aahon ne mara mohabbat bhare ishtibahon ne mara mere dil ko un ki nigahon ne mara inhin do mohabbat-panahon ne mara mohabbat ki in sair-gahon ne mara teri multafit si nigahon ne mara tumhaari nigahon ki be-shak khata kya mujhe khud hi meri nigahon ne mara pareshan pareshan wo masum nazren gham-e-ishq ke dad-khwahon ne mara duhai hai ai manzil-e-husn-e-jaanan mohabbat ki sunsan rahon ne mara na dekho mohabbat se aaina dekho ki aisi hi mujh ko nigahon ne mara wo kya qadr-o-qimat tere gham ki jaanen jinhen zist ki aam rahon ne mara meri ehtiyat-e-junun hae 'basit' na manzil ne luta na rahon ne mara