muddai KHush ki hai wo mard yagana paida

muddai khush ki hai wo mard yagana paida
aur hamein chah kare hum sa zamana paida

har fasane mein haqiqat ka koi shaiba hai
har haqiqat se bil-akhir hai fasana paida

har jawan-qalb kisi shokh-nazar ki zad mein
ye wo nakhchir kare aap nishana paida

aankh ke wasf se bhi husn numayan hai magar
ishq ke dam se to hai aaina-khana paida

ho muqaddar mein agar husn-e-tabiat ka sila
aap kar lete hain haalat bahana paida

tair-e-shauq-e-huma wo jo kare baal kusha
ho bayaban-e-laq-o-daq mein khazana paida


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close