muddai us se sukhan-saz ba-salusi hai phir tamanna ko yahan muzhda-e-mayusi hai meri hi tarah jigar khun hai tera muddat se ai hina kis ki tujhe khwahish-e-pa-bosi hai aah ai kasrat-e-dagh-e-gham-e-khuban ki mudam safha-e-sina pur-az-jalwa-e-tausi hai tohmat-e-ishq abas karte hain mujh ko 'minnat' han ye sach milne ki khuban se to ek khu si hai