muddat hui KHamoshi-e-izhaar-e-haal ko

muddat hui khamoshi-e-izhaar-e-haal ko
aab-e-sada hi dijiye dasht-e-khayal ko

phir ek shakh-e-zard giri khak ho gai
phir barg-e-nau mile shajar-e-mah-o-mal ko

jhonka ye kis ke lams-e-gurezan ki tarah tha
ab hal hi karte rahiye hawa ke sawal ko

ham-rang-e-mahtab tha wo is mein kho gaya
ab kitni dur phenkiye nazron ke jal ko

shab bhar hawa ke rang badalte rahe nae
main dekhta raha safar-e-bar-shaghaal ko

jaega khun-e-shab na kisi taur raegan
munh par malegi subh shafaq ke gulal ko

jachte nahin nigah mein khushiyon ke aaftab
dil dhundhta hai kis gham-e-zohra-e-jamal ko

insaniyat ke dard ki aawaz ban sake
soz-e-nawa se sinchiye zakhm-e-khayal ko

dije phir aab-e-dida-e-tar se hayat-e-nau
fann-o-adab ke sabza-e-nau-paemal ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close