haal-e-dil sab se chhupane mein maza aata hai aap puchhen to batane mein maza aata hai raushni bojh si lagti hai shab-e-hijran mein han magar dil ko jalane mein maza aata hai jis ke kuchh tar ulajh jate hain dil ki surat bas usi saz pe gane mein maza aata hai jaan bachane ka tasawwur bhi bura lagta hai ishq mein jaan ganwane mein maza aata hai yaad kar kar ke wo garmi ki bhari do-pahren pahli barish mein nahane mein maza aata hai