muddat ki tishnagi ka inam chahta hun masti bhari nazar se ek jam chahta hun ai gardish-e-zamana zahmat to hogi tujh ko kuchh der ke liye main aaram chahta hun kal hum se kah raha tha shohrat-talab zamana tum kaam chahte ho main nam chahta hun subh-e-hayat le le ai zulf-e-yar lekin main tujh se is ke badle ek sham chahta hun baad-e-saba se kah do meri taraf bhi aae main bhi 'hafiz' un ka paigham chahta hun