lahu ki mai banai dil ka paimana bana dala jigar-daron ne maqtal ko bhi mai-khana bana dala hamare jazba-e-tamir ki kuchh dad do yaro ki hum ne bijliyon ko shama ka shana bana dala sitam dhate ho lekin lutf ka ehsas hota hai isi andaz ne duniya ko diwana bana dala bhari mahfil mein hum ne baat kar li thi un aankhon se bas itni baat ka yaron ne afsana bana dala mere zauq-e-parastish ki karishma-saziyan dekho kabhi kaba kabhi kabe ko but-khana bana dala shikayat bijliyon se hai na shikwa baad-e-sarsar se chaman ko khud chaman walon ne virana bana dala chalo achchha hua duniya 'hafiz' ab dur hai hum se mohabbat ne hamein duniya se begana bana dala