muddat se dhundti hai kisi ki nazar mujhe main kis maqam par hun nahin hai khabar mujhe aawargi udae phiri misl-e-bu-e-gul koi pukarta hi raha umr bhar mujhe yun ja raha hun jaise na aaunga phir kabhi mud mud ke dekhti hai teri rahguzar mujhe kya jaane kis khayal se chehra damak utha main chaara-gar ko dekhta hun chaara-gar mujhe ahd-e-khizan bahaar ki rut nam hain faqat kya baat kah gai hai nasim-e-sahar mujhe manzil pe aa ke 'shad' ajab hadisa hua main ham-safar ko bhul gaya ham-safar mujhe