ai dil ab aur koi qissa-e-duniya na suna chhed de zikr-e-wafa han koi afsana suna ghibat-e-dahr bahut gosh-e-gunahgar mein hai kuchh gham-e-ishq ke ausaf-e-karimana suna kar-e-diroz abhi aankhon se kahan simta hai khun rulane ke liye qissa-e-farda na suna daman-e-baad ko hai daulat-e-shabnam kafi ruh ko zikr-e-tunuk-bakhshi-e-dariya na suna sunte hain us mein wo jada hai ki dil chiz hai kya sunte hain us pe wo aalam hai ki dekha na suna gosh-e-behosh wo kya jis ne ki hangam-e-nawa koi nala hi lab-e-nai se nikalta na suna ham-nashin pardagi-e-raaz ise kahte hain lab-e-saghar se kisi rind ka charcha na suna kuchh ajab chaal se jata hai zamana ab ke hashr dekhe hain magar hashr ka ghaugha na suna badh gaya roz-e-qayamat se shab-e-gham ka sukut jism-e-adam mein kahin dil hi dhadakta na suna nauha-e-gham koi us bazm mein chhede kyunkar jis ne giton ko bhi ba-khatir-e-begana suna