muddat se uske shahr se guzra nahin hun main

muddat se us ke shahr se guzra nahin hun main
par zehn-o-dil se aaj bhi nikla nahin hun main

teri har ek sans ko apni bana liya
aur tu ye kah raha hai ki tera nahin hun main

bas ek zara si baat pe bad-nam kar diya
sab ko bata raha hai ki achchha nahin hun main

main dusron ko dhaalta hun apne rang mein
hargiz kisi ke rang mein dhalta nahin hun main

duniya samajhti mujh ko khirad-mand is liye
ki guftugu fuzul ki karta nahin hun main

qismat ne mujh ko zero se hero bana diya
hun aaj bhi main waisa hi badla nahin hun main

'anwar' shabab us ka ki koi gulab hai
afsos ye hai mujh ko ki bhanwra nahin hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close