muddaten ho gai hota nahin phera tera tair-e-hosh kahan ab hai basera tera chhawni dal ke duniya mein rahega kab tak kheme rah jaenge uth jaega dera tera rahti hai shams-o-qamar ko tere sae ki talash raushni dhundhti phirti hai andhera tera khae jati hai abhi shoala-mizaji ai shama din se pahle hua jata hai sawera tera phad kar phenkte hain jama-e-hasti ko samet le junun hum ne ye saman bikhera tera main hi tera hun to phir kya kahun mera kya hai tu hi mera hai to phir kis liye mera tera dekhna 'natiq'-e-shorida ko pheri wale kucha-e-yar mein ho ab ke jo phera tera