mere gham ki unhen kis ne KHabar ki

mere gham ki unhen kis ne khabar ki
gai kyun ghar se bahar baat ghar ki

ghuta jata hai dam rukhsat hua kaun
ye duniya gard hai kis ke safar ki

ye kaisa khel hai ai chashm-e-pur-fan
udhar kyun ho gai duniya idhar ki

hunar sikha zamana aib ka tha
khata ki aur hum ne jaan kar ki

bahut ruswa hue bas ai dua bas
khushamad ab nahin hoti asar ki

bahut kyun ho na ruswai hamari
yahi to hai kamai umr bhar ki

tali 'natiq' musibat jaan le kar
hamein rukhsat kiya aur aap sarki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close