muddaton baad wo galiyan wo jharoke dekhe jism ki rakh se uthte hue shoale dekhe dil mein dar aain gai saaten khushbu ban kar sadiyon ki nind se phir jagte lamhe dekhe rang barsati wahi subh wahi bhigti sham wahi ehsas mein dube hue sae dekhe ek ek mod mile bichhde khayalon ke hujum sune darwazon mein phir chand se chehre dekhe ek ek aankh pe lamhon ka fusun tari hai kaun us waqt ki diwar se aage dekhe tah mein baste hain chamakte hue rangon ke nagar koi is ghor andhere mein utar ke dekhe 'sham' jab tod liya us se tha jo bhi rishta apne izhaar ke phir kitne hi raste dekhe