rah-e-shauq se ab hata chahta hun kashish husn ki dekhna chahta hun koi dil sa dard-ashna chahta hun rah-e-ishq mein rahnuma chahta hun tujhi se tujhe chhinna chahta hun ye kya chahta hun ye kya chahta hun khataon pe jo mujh ko mail kare phir saza aur aisi saza chahta hun wo makhmur nazren wo madhosh aankhen kharab-e-mohabbat hua chahta hun wo aankhen jhukin wo koi muskuraya payam-e-mohabbat suna chahta hun tujhe dhundhta hun teri justuju hai maza hai ki khud gum hua chahta hun ye maujon ki be-tabiyan kaun dekhe main sahil se ab lautna chahta hun kahan ka karam aur kaisi inayat 'majaz' ab jafa hi jafa chahta hun