muddaton hum se mulaqat nahin karte hain ab to sae bhi koi baat nahin karte hain dasht-e-hairan ka pata aaj bhi malum nahin ab to rahon mein bhi hum raat nahin karte hain mabadon mein jo jalate the diye mere liye ab sar-e-sham munajat nahin karte hain bant dete hain sabhi khwab suhane apne daman-e-dard se khairaat nahin karte hain rok lete the jo jangal mein wo aaseb bhi ab chup hi rahte hain sawalat nahin karte hain wo jo barse the inayat ke baadal hum par wo bhi ab pahli si barsat nahin karte hain kitne barham the 'farah' tut ke jab bikhre the aaj-kal hum bhi shikayat nahin karte hain