dida-e-sarf-e-intizar hai shama meri haalat ki yaadgar hai shama nahin dil mein kisi ke soz-o-gudaz ki tamasha-e-rozgar hai shama pae-jumbish sada tadapti hai tapish-e-na-tawan shikar hai shama rukh-e-raushan hai nur-e-binai chashm-e-ushshaq ka ghubar hai shama roz-e-tira mein bad-numa khurshid shab-e-raushan mein tira-kar hai shama yaad-e-gul-e-rukh se phul jhadte hain kis bashashat se nau-bahaar hai shama khak nasur-e-dil bhare is ka zakhmi-e-girya-ha-e-zar hai shama husn diwana sab ko karta hai apne hi aap par nisar hai shama subh hote hi timtimati hai aap ki chashm-e-pur-khumar hai shama kyun na roe na kis tarah se jale ki fughani-e-raaz-dar hai shama nahin bujhti lagi hui ji ki shola-e-jaan-e-sogwar hai shama hai idhar dagh-e-barq-e-parwana aur udhar chashm-e-abr-bar hai shama husn bhi hai maal-e-kar wabaal bazm-dar-bazm kya hai khar hai shama jhankna parde se buri khu hai khud-ba-khud aap sharmsar hai shama shab-e-tanhai aur tu aur ye ai 'qalaq' teri gham-gusar hai shama