muddaton ke baad phir kunj-e-hira raushan hua kis ke lab par dekhna harf-e-dua raushan hua ruh ko aalaish-e-gham se kabhi khali na rakh yani be-zangar kis ka aaina raushan hua ye tamasha didani thahra magar dekhega kaun ho gae hum rakh to dast-e-dua raushan hua raat jangal ka safar sab ham-safar bichhde hue de na hum ko ye bashaarat rasta raushan hua khwahishon khwabon ka paikar hi sahi mera wajud ek sitare ki haqiqat kya bujha raushan hua bu-e-gul patton mein chhupti phir rahi thi der se na-gahan shakhon mein ek dast-e-saba raushan hua is qadar mazbut mausam par rahi kis ki giraft main ki mujh se sina-e-ab-o-hawa raushan hua ek zara us se badhi qurbat to aankhen khul gain us ke mere bich tha jo fasla raushan hua waqt ne kis aag mein itna jalaya hai mujhe jis qadar raushan tha main us se siwa raushan hua mujh ko meri aagahi aankhon se ojhal kar gai us ne jo kuchh lauh-e-jaan par likh diya raushan hua ai 'faza' itni kushada kab thi mani ki jihat mere lafzon se ufuq ek dusra raushan hua