qirtas o qalam hath mein hai aur shab-e-mah hai ai rabb-e-azal khol de jo dil mein girah hai atraf se har shab simat aati hai safedi har subh jabin par magar ek roz-e-siyah hai main sham se pahle hi pahunch jaun to behtar jangal mein hun aur sar pe mere bar-e-gunah hai mahngi hai jahan dhat mere surkh lahu se zardi ke us aashob mein to meri panah hai munh-zor zamanon ki zara khinch le bagen mere kisi bichhde hue ki sal-girah hai