muft hai KHun-e-jigar azmat-e-kirdar ke sath

muft hai khun-e-jigar azmat-e-kirdar ke sath
ashk milte hain yahan dida-e-bedar ke sath

hum ne manga tha sahaara to mili is ki saza
ghatte badhte rahe hum saya-e-diwar ke sath

aaj to hazrat-e-naseh bhi lipat kar mujh se
raqs karte rahe zanjir ki jhankar ke sath

dil-e-barbaad pe hai saya-fagan yaad teri
saya-e-fazl-e-khuda jaise gunahgar ke sath

dil mein us shahr ke kuchh aks abhi baqi hain
lut gae hum bhi jahan garmi-e-bazar ke sath

aisi basti se to wo dasht kahin behtar tha
aable mil ke jahan rote the har khar ke sath

ab to ek khwab si lagti hai haqiqat ye bhi
rabt tha hum ko kisi yar-e-tarah-dar ke sath

dil mein mere bhi yaqin aur guman sath rahe
jaise inkar tere lab pe hai iqrar ke sath

aise anmol na the hum ki na bikte lekin
do qadam chal na sake apne kharidar ke sath

hasil-e-fan hain 'faridi' wahi ashaar-e-ghazal
khun-e-dil jin mein ho rangini-e-afkar ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close