jhalak parde se yun rah rah ke dikhlane se kya hasil

jhalak parde se yun rah rah ke dikhlane se kya hasil
ye thandi garmiyan bhi darmiyan lane se kya hasil

rahe jab khak pa-e-shama par jal kar to jalna hai
nahin girya to parwanon ke jal jaane se kya hasil

abad tak sans lene aur gham sahne mein lazzat hai
dayar-e-ishq mein ghabra ke mar jaane se kya hasil

nahin hota hai koi kaam hargiz waqt se pahle
umid-o-arzu mein dil ko tadpane se kya hasil

na yun tutin na tutengi kabhi zindan ki diwaren
koi sar phod kar mar jae mar jaane se kya hasil

taras aaya hai zalim ko na aae kam-nasibon par
taras hi aa gaya jab to sitam dhane se kya hasil

agar mai-khwar ek ek bund ko saqi taras jaen
tere jam-o-subu se tere maikhane se kya hasil

mohabbat ka kahin daman bhara hai bhik mange se
tumhin kah do hamare hat phailane se kya hasil

abhi baqi hai ek ummid-e-marg-e-na-gahan lekin
usi zindan mein phir aae to mar jaane se kya hasil

usi ke tewaron ko dekhti rahti hain taqdiren
dil-e-rahat-talab bechain ho jaane se kya hasil

'jigar' apne liye jina koi jine mein jina hai
na kaam aaen kisi ke to jiye jaane se kya hasil

'jigar' hai zindagi jab tak ki garmi hai mohabbat ki
hua jab sard sina to jiye jaane se kya hasil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close