muhtaj-e-did-o-jalwa karun kyun nazar ko main nazron mein khinch lata hun jab jalwa-gar ko main dekhun to jurm aur na dekhun to kufr hai ab kya kahun jamal-e-rukh-e-fitna-gar ko main aisa nahin ki dil mein mere zakhm hi na ho aankhon mein rok leta hun khun-e-jigar ko main daman-e-sabr chhutne lagta hai hath se jab dekhta hun duri-e-sham-o-sahar ko main manzil pe aa ke aaj ye samjha ki aaj tak manzil samajh raha tha faqat rahguzar ko main manzil ki justuju mein na jaane kahan kahan sar par liye phira hun ghubar-e-safar ko main ek qasr-e-arzu tha gira tut tut kar hasrat se dekhta raha diwar-o-dar ko main milne ko 'nur' yun to bahut gham yahan mile tarsa tamam umr gham-e-mo'tabar ko main