sath de sakta nahin zahid ka iman dur tak ja rahi hai meri fikr-e-na-musalman dur tak tere diwanon ne shane ki qasam khai hai aaj baat ab jaegi ai zulf-e-pareshan dur tak ai junun-e-asman-parwaz tera shukriya ja raha hai aaj ud ud kar gareban dur tak ye nahin mumkin ki sahil ka tasawwur dub jae kuchh safinon ko dubote jaen tufan dur tak jis ko aana hai wo aae jis ko rahna hai rahe rahguzar hi rahguzar hai dur tak han dur tak ai shab-e-gham kya karun khwab-e-sahar ka kya karun hai falak par to charaghan hi charaghan dur tak moch aakhir aa gai viraniyon ke panw mein sath to gulshan ke daude the bayaban dur tak