mujassam dagh-e-hasrat hun sarapa naqsh-e-ibrat ka mujhe dekho ki hota hai yahi anjam ulfat ka unhen shauq-e-dil-azari hamein zauq-e-wafadari khuda-hafiz hai ab apne kishor-e-kar-e-ulfat ka visal-e-yar ki ai dil koi pur-zor koshish kar hawa-e-ah se parda utha de sham-e-furqat ka dil-e-pur-shauq ne dala hai mujh ko kis kashakash mein idhar hai had ki be-sabri udhar wada qayamat ka tum aise be-khabar bhi shaz honge is zamane mein ki dil mein rah ke andaza nahin hai dil ki haalat ka jahan mein chaar din rah kar faqat bu-e-wafa dena gulon se main sabaq leta hun aain-e-sohbat ka laga rakhta hai us ki nazr ko chashm-e-tamanna ne wo ek aansu ki majmua hai sari dil ki taqat ka meri qudrat se ab ikhfa-e-raaz-e-ishq bahar hai ki rang aane laga hai aansuon mein khun-e-hasrat ka ek aah-e-sard bhar leta hun jab tum yaad aate ho khulasa kis qadar main ne kiya hai ranj-e-furqat ka wo dil hai bazm-e-alam mein 'nazar' ek saz-e-bashkasta na chhede tar-e-hasti par jo naghma us ki qudrat ka