bhuli-bisri baat hai lekin ab tak bhul na pae hum

bhuli-bisri baat hai lekin ab tak bhul na pae hum
mutthi bhar taron ki khatir apna chand ganwae hum

ab to tumhaare hisse ka bhi pyar hamein karna padta hai
tum se sun kar jitne qisse yaad the sab dohrae hum

tum hote to betabi se hum ko laga lete sine se
jin raaton mein dukh jhele hain jin mein ranj uthae hum

nind kahan ab to rahti hai aaankhon mein zahrab ki dhund
mitti ka dil chir ke sare khwabon ko dab aae hum

raat mili to de gai hum ko thodi si pahchan
suraj suraj din chamka to ho gae aap parae hum

jhuti si ek aas pe shayad puchh le koi dil ka haal
chehre ka kashkol liye phirte hain rup banae hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close