mujh aise shaKHs ki hajat-rawai karte hue

mujh aise shakhs ki hajat-rawai karte hue
bhatak gaya tha wo kar-e-khudai karte hue

ki baaton baaton mein manzil se dur le gaya tha
wo na-khuda-e-sukhan rahnumai karte hue

abhi hai waise ka waisa hi haal andar ka
ki umr dhal gai dil ki safai karte hue

nisab-e-ishq abhi tak hai mawara-e-khirad
ki tis sal hue hain padhai karte hue

halal luqma khilana hai apne bachchon ko
hamesha soch ye rakkhi kamai karte hue

wo khel baitha mohabbat se phir mohabbat ne
jawabi war kiya karawai karte hue

na koi dukh ka tassur na thi pashemani
malal tak na hua bewafai karte hue

diya palat ke sahaara sisakti beti ne
ki bap girne laga tha widai karte hue

tadap ke rakh diye aankhon pe meri hath us ne
main zakhm dekh raha tha silai karte hue

jo mo'atabar gine jate the wo bhi pae gae
ghalat jagah pe ghalat ham-nawai karte hue

khulus ras na aaya 'umar' ki jo bhi mila
dagha hi deta gaya bhai bhai karte hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close