mujh bala-nosh ko talchhaT bhi hai kafi saqi

mujh bala-nosh ko talchhat bhi hai kafi saqi
bhar de chullu mein jo ho shishe mein baqi saqi

bhar ke pilwata nahin ek piyali saqi
sari main mangta hun deta hai aadhi saqi

tu ne kya aatish-e-hal-karda pila di saqi
bhun dala hai jigar aag laga di saqi

phul mangun to pilata hai barandi saqi
karta hai bazm-e-guzishta ki talafi saqi

jam-e-jam chahiye rindon ko na shahi saqi
saltanat hai tere kuche ki gadai saqi

jam auron ko diye mujh ko piyali saqi
khud bahakne laga manind-e-sharabi saqi

kya karun pi ke bhala ek piyali saqi
is tunuk-zarfi ka banda nahin aadi saqi

kab se kahta hun bala-nosh main saqi saqi
aur pilwa de jo ho shishe mein baqi saqi

maraz-e-hijr mein mai garche muzir hai lekin
main to pi jata hun allah hai saqi saqi

subh se sham talak hath se chhutta nahin jam
chahiye apna takhallus kare jami saqi

maslahat hogi jo mahrum rakha mai se mujhe
fel hikmat se nahin hai tera khali saqi

mast kya jaanen kidhar dair hai kaba hai kahan
umr sari teri bhatti mein guzari saqi

masjid o dair o kalisa ki wo raunaq na rahi
tu ne buniyaad jo mai-khane ki dali saqi

dekhiye sohbat-e-na-jins nibhegi kyun-kar
past-himmat tu tabiat meri aali saqi

fasl-e-gul aa chuki kya dur se dahkata hai
mai-e-gul-rang se bhar bhar ke gulabi saqi

waizo wohi karunga main jo fatwa dega
qibla-o-kaba o murshid mera hadi saqi

shisha-o-jam o subu honge abhi chaknachur
mast bahke to badi hogi kharabi saqi

koi aafat tere mai-khane pe aa sakti hai
sab dua-go hain ye jitne hain sharabi saqi

sirf lillah bhi mai-khane mein jari kar de
muqtazi ho jo teri himmat-e-ali saqi

tang ho kar tere har bar ke dahkane se
kos baithe na koi rind-e-sharabi saqi

jo piyega na sharab aaj wo mujrim hoga
ku-ba-ku kal se tu kar de ye munadi saqi

dard bhi mujh ko pila dega tu bad-masti mein
sab suna dunga main diwan-e-zulali saqi

barf pilwa ke kaleja mera thanda kar de
aab-e-angur ne to aag laga di saqi

tera ji chahe to pilwa de koi jam-e-sharab
hath phailane ka banda nahin aadi saqi

nafs-e-garm ki tasir ne mai saghar se
shoala-e-lafz ke manind uda di saqi

aur to hasraten sab 'rind' ke dil se niklin
jam-e-kausar ki tamanna rahi baqi saqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close