nadi ko rok saki to dhalan bandhungi main apni naw pe khud baadban bandhungi ye abr barsa to dharti ghurub kar dega main apni odhni mein aasman bandhungi main gir gai teri dastar ko sambhaalne mein riwayaton ko main shayan-e-shan bandhungi wo mere ghar ki har ek chiz tod deta hai main dil se dard ki bojhal chatan bandhungi makan girne ko hai main use bacha lungi aur us pe guzri hui dastan bandhungi chahak parinde ki kilkar nanhe bachche ki main in ke dam se naya ek jahan bandhungi mujhe najat dila de jo mere zindan se nae safar ke liye jism-o-jaan bandhungi judi rahungi usi se zamin man hai meri main titliyon ki si dhimi udan bandhungi