mujh diye par ye ek ata rahi hai khud muhafiz meri hawa rahi hai log sahme hue hain hijrat se dhul chehron pe muskura rahi hai tere iman ka khuda-hafiz tu use nam se bula rahi hai shor har gam kaamyab raha khamushi gham mein mubtala rahi hai waqt par kar ban gaya so yahan bebasi daere bana rahi hai is talluq pe maut wajib thi dosti darmiyan aa rahi hai tere mutalashiyon ki khair jinhen tirgi raste bata rahi hai is ka radd-e-amal bhi dhyan mein rakh tu agar masala utha rahi hai hum gharibon ki umr bhar 'faisal' pahli tarjih bas ana rahi hai