mujh mein basne wale shakhs ne mujh mein rahna chhod diya us ne meri baat na mani main ne kahna chhod diya tum jaise marzi socho par log to sab kuchh jaante hain kis ne kitna sath nibhaya kis ne kitna chhod diya is tariki mein ab aur kisi par kya ilzam dharun mujh ko jab mere apne sae ne tanha chhod diya duniya bhar ka mere aage gham maujud tha phir main ne achchha achchha dil mein rakkha aisa waisa chhod diya pani dene wala jab kuchh roz mein us ko bhul gaya aakhir ek din paude ne gamle mein rahna chhod diya