wo mujh ko bhul bhi jae to hairani nahin hogi mujhe hai ras tanhai pareshani nahin hogi main jo kuchh sochti hun wo kabhi kah hi nahin pai so mujh ko baat kar ke bhi pashemani nahin hogi kisi ko yaad karne mein jo aasani hui mujh ko bhulane baith jaun to wo aasani nahin hogi khafa ho kar gaya hai jis tarah se abr lagta hai yahan par ab koi bhi fasl barani nahin hogi mujhe malum hai bas aarzi ehsan hai tera magar kuchh din to mere dil mein virani nahin hogi