mujh mein jo azim-tar nasha tha

mujh mein jo azim-tar nasha tha
mere hi lahu ka zaiqa tha

padh dale the kuchh wafa ke qisse
sahra mein sahab dhundhta tha

manzil pas-e-naqsh-e-pa thi koi
paigham ghubar pe likha tha

ab tak wo huruf jal rahe hain
aankhon ko charagh likh diya tha

aankhon ke charagh gul na hote
gul lab pe magar jo khil gaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close