sunen na ab koi qissa ubharne walon se ki dar chuke hain bahut yun bhi darne walon se sanad mili thi unhen sang-ashnai ki wo dar gae the hababon pe marne walon se ada-e-talkh-kalami ka dard sab ko tha gila kisi ko na tha kan bharne walon se guzarte lamhon ke maqruz ban ke nikle the hisab lene lage the thaharne walon se har ek bazm mein 'shahid' zaban gang rahi bahut qarib the hum baat karne walon se