mujh mein meri zat bhi rakkhi hui hai dost

mujh mein meri zat bhi rakkhi hui hai dost
chhod ye baat to aur bhi uljhi hui hai dost

hum logon ko pani achchha lagta hai
hum logon ne mitti pahni hui hai dost

kitna saj-dhaj kar mahfil mein aaya hun
meri wahshat ghar par rakkhi hui hai dost

is taswir ka lahja dekh raha hai tu
ye taswir bhi mujh se ruthi hui dost

wo ladki jo sab se ziyaada hans rahi hai
us ki aankhen dekh wo roi hui hai dost

jis bakse mein tere suit rakhe hain na
us mein meri jeans bhi rakkhi hui hai dost


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close