shikasta KHwab ke malbe mein DhunDhta kya hai

shikasta khwab ke malbe mein dhundhta kya hai
khandar khandar hai yahan dhul ke siwa kya hai

nazar ki dhund mein hain bhuli-bisri taswiren
palat ke dekhne wale ye dekhna kya hai

abhi to kat rahi hai har ek sans ki dhaar
azal jab aae to dekhun ki intiha kya hai

rahegi dhup mere sar pe aakhiri din tak
jawan hai ped magar us ka aasra kya hai

tujhe pasand kahan haal puchhna mera
teri nigah mein lekin sawal sa kya hai

dhuan nahin na sahi aag to nazar aae
yun chupke chupke sulagne se faeda kya hai

udas raat ki khamoshiyon mein ai 'qaisar'
qarib aati hui dur ki sada kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close