mujh mein se mere jubba-o-dastar nafi kar

mujh mein se mere jubba-o-dastar nafi kar
rah jaun agar baqi to tashrih meri kar

sab ilm-o-hunar bhul ke bachpan mein chala jaun
ai sahab-e-sahar aisi koi jadugari kar

diwaron se batte hain khirad-mandon ke khitte
tu dasht-e-junun mein na ye diwar khadi kar

ek qafila pyason ka guzarna hai yahan se
ai dasht-e-bala apne sarapa ko niri kar

main ghar mein hi pita hun magar yaron ki khatir
ghar se tere maikhane mein aa jata hun pi kar

ek chaak gareban mein hai ek chaak hai dil mein
kya hoga faqat chaak-e-gareban ko si kar

jo zulm ki rah par hain unhen rah se bhatka
achchha bhi koi kaam tu ai tira-shabi kar

gar kuchh bhi nahin pas to mitti se hi bhar le
ai sahab-e-khairaat tu daman na tahi kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close