mujh mein se rafta rafta ghaTata raha mujhe

mujh mein se rafta rafta ghatata raha mujhe
wo thoda thoda roz churaata raha mujhe

mere paron mein meri zamin bandhne ke baad
wo apni kahkashan mein bulata raha mujhe

har raat aansuon se bhigoya mera badan
har subh dhup de ke sukhata raha mujhe

cigarette pita main bhi labon se laga raha
wo bhi dhuan bana ke udata raha mujhe

us ko thi dhun ki mujh ko banaega wo gulab
kanton ke bich roz sajata raha mujhe

pani ki tarah main bhi tha muft us ke hath mein
aur wo bhi be-daregh bahata raha mujhe

us ko hi main ne das liya ek roz aakhirash
jo apni aastin mein chhupata raha mujhe

us ke namak se tha mera paikar bana hua
barish se is liye wo bachata raha mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close