mujh mein soe hue mahtab se kam waqif hai tu meri aankh ke talab se kam waqif hai bughz-e-ada khu-e-ahbab se kam waqif hai jo mere halqa-e-arbab se kam waqif hai satwat-e-qasr-e-shahi dhoke mein rakhta hai ki jo azmat-e-gumbad-o-mehrab se kam waqif hai ishq ki chahiye talim abhi aur use jo mohabbat adab aadab se kam waqif hai zist karne ko bahut chashm-e-fusun-kar mujhe wo mere ishq ke zartab se kam waqif hai manawi taur par us pe main mukammal na khuli wo meri zat ke erab se kam waqif hai tujh pe main kholungi ek din sabhi auraq-e-jamal tu abhi husn ke abwab se kam waqif hai kya banega jo na tal pai bala-e-furqat hijr to wasl ke asbab se kam waqif hai ek hi shakhs ka karti hai adab dhadkan bhi dil to duniya tere aadab se kam waqif hai itna poshida use rakkha hai 'amabar' sab se aankh apni bhi mere khwab se kam waqif hai