mujh par teri nazron ka jo ehsan nahin hota hathon se mere chaak gareban nahin hota khali kabhi kanton se gulistan nahin hota kanton se kabhi phul pareshan nahin hota kuchh dard ho kuchh soz ho kuchh nur ho dil mein bas khak ka putla hi to insan nahin hota ai dost samajhta hun teri pursish-e-gham ko baaton se kabhi dard ka darman nahin hota kyun us ko mere chaak-e-gareban ki khabar ho gesu bhi kabhi jis ka pareshan nahin hota ai barq-e-jahan-soz tujhe ye bhi khabar hai aashiq ka nasheman kabhi viran nahin hota har phul ko dekhun ye hai aawara-nigahi har naqsh mein to jalwa-e-jaanan nahin hota mamnun-e-karam ek zamana hai hamein kya hum par to kabhi aap ka ehsan nahin hota khulta hai koi raaz-e-nihan dekh chaman mein ghunchon ka yunhi chaak gareban nahin hota phulon se bahal jaun wo diwana nahin hun kanton se ulajhne ko to daman nahin hota maujon ko bana leta hun main apna safina tufan bhi mere samne tufan nahin hota main jin pe fida hun wahi jalwe hain nazar mein aaina tujhe dekh ke hairan nahin hota kis manzil-e-dushwar mein hun ishq ki 'arif' un se bhi mere dard ka darman nahin hota