jo hai chashma use sarab karo shahr-e-tishna mein inqalab karo muskurane ka fan to baad ka hai pahle saat ka intikhab karo ab ke tabir masala na rahe ye jo duniya hai is ko khwab karo aur pakne do ishq ki mitti par ujlat mein mat chanab karo ahd-e-nau ke ajab taqaze hain jo hai khushbu use gulab karo yun khushi ki hawas na jaegi ek ek gham ko be-naqab karo harsingaron se bolti hai zamin ab ki rut mein mujhe kitab karo pahle puchho sawal apne tain phir khala se talab jawab karo