mujh pe aisa koi sher nazil na ho jis ki hiddat mere khun mein shamil na ho fikr aise muhit-e-sukhan ki karo jis ki amwaj ka koi sahil na ho aaj ek bint-e-maryam hai aaghosh mein mujh pe ai ruh-e-quds aaj nazil na ho be-muhaba mile hijr ho ba-visal koi diwar raste mein mail na ho shakh par hai guman gul se andesha hai ye bhi khanjar na ho ye bhi qatil na ho karwan-e-junun de raha hai sada jaan ho pyari jise hum mein shamil na ho kash wo waqt bhi aae duniya mein jab zar pukare magar koi sail na ho meri tanhai ko mera maqsum kar meri manzil zamane ki manzil na ho hukm de jaan-e-'sahba' nai fikr ka ye ghazal bhi agar tere qabil na ho