hangama garm hasti-e-na-paedar ka

hangama garm hasti-e-na-paedar ka
chashmak hai barq ki ki tabassum sharar ka

main jo shahid hun lab-e-khandan-e-yar ka
kya kya charagh hansta hai mere mazar ka

ho raaz-e-dil na yar se poshida yar ka
parda na darmiyan ho jo dil ke ghubar ka

us ru-e-tabnak pe har qatra-e-araq
goya ki ek sitara hai subh-e-bahaar ka

hai ain-e-wasl mein bhi meri chashm su-e-dar
lapka jo pad gaya hai mujhe intizar ka

pahunchega tere pas kabutar se pesh-tar
maktub-e-shauq uda ke tere be-qarar ka

ho pak-damanon ko khalish gar se kya khatar
khatka nahin nigah ko mizhgan ke khar ka

bujhne ki dil ki aag nahin zer-e-khak bhi
hoga darakht gor pe meri chinar ka

dekh apne dar-e-gosh ko aariz se muttasil
dekha na ho sitara jo subh-e-bahaar ka

puchhe hai kya halawt-e-talkhaba-e-sarishk
sharbat hai bagh-e-khuld-e-barin ke anar ka

hai dil ki dao ghat mein mizhgan se chashm-e-yar
hai shauq us ki tatti ki ojhal shikar ka

qasid likhun lifafa-e-khat ko ghubar se
ta jaane wo ye khat hai kisi khaksar ka

ai 'zauq' hosh gar hai to duniya se dur bhag
is mai-kade mein kaam nahin hoshiyar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close