mujh pe rakhte hain hashr mein ilzam aa na jae zaban pe tera nam zabt ki koshishen bhi jari hain dard bhi kar raha hai apna kaam jo ibarat na ho tere gham se ahl-e-dil par wo zindagi hai haram waqfa-e-maut bhi ghanimat hai kuchh to fil-jumla mil gaya aaram us ne dekha hai sham ka manzar jis ne dekhi hai bekason ki sham kis se ab dard ki dawa chahun dard uthta hai le ke tera nam ab qayamat qarib hai 'fani' fitna-e-ishq ho chala hai tamam