mom ke jismon wali is makhluq ko ruswa mat karna mishal-e-jaan ko raushan karna lekin itna mat karna haq-goi aur wo bhi itni jina dubhar ho jae jaisa kuchh hum karte rahe hain tum sab waisa mat karna pichhle safar mein jo kuchh bita bit gaya yaro lekin agla safar jab bhi tum karna dekho tanha mat karna bhuk se rishta tut gaya to hum behis ho jaenge ab ke jab bhi qaht pade to faslen paida mat karna ai yaado jine do hum ko bas itna ehsan karo dhup ke dasht mein jab hum niklen hum par saya mat karna